wo jo apne waste ek KHas manzar DhunDhta hai
vo jo apne vāste ik ḳhaas manzar DhūñDhtā hai
vo yaqīnan kuchh na kuchh apne barābar DhūñDhtā hai
jaane kis kis se nagar meñ āj-kal nārāz hai vo
har bashar meñ jo vafādārī kā paikar DhūñDhtā hai
Duub jaatī hai talātum ko jo apne saath le kar
aisī kashtī ko har ik jānib samundar DhūñDhtā hai
phuul se nāzuk vo hotā hai zamāne bhar kī ḳhātir
apne sar ke vāste jo saḳht patthar DhūñDhtā hai
in savāloñ kī chubhan kyā chiiz hai 'ābid' se pūchho
aadmī jin ke javāb apne hī andar DhūñDhtā hai
wo jo apne waste ek KHas manzar DhunDhta hai
wo yaqinan kuchh na kuchh apne barabar DhunDhta hai
jaane kis kis se nagar mein aaj-kal naraaz hai wo
har bashar mein jo wafadari ka paikar DhunDhta hai
Dub jati hai talatum ko jo apne sath le kar
aisi kashti ko har ek jaanib samundar DhunDhta hai
phul se nazuk wo hota hai zamane bhar ki KHatir
apne sar ke waste jo saKHt patthar DhunDhta hai
in sawalon ki chubhan kya chiz hai 'abid' se puchho
aadmi jin ke jawab apne hi andar DhunDhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.