wo jo apni zat mein rakhte hain uryani ka shor
vo jo apnī zaat meñ rakhte haiñ uryānī kā shor
ḳhuld se aa.e haiñ le ke rūh-e-yazdānī kā shor
dasht meñ rahte haiñ pyāse aur darīche vā kiye
ḳhush huā karte haiñ sun ke duur se paanī kā shor
ek laḌkī chūḌiyāñ khankā rahī thī aur tabhī
us khanak se uTh rahā thā jaise zindānī kā shor
har kisī kā ek lā-zāhir muqarrab hai magar
dushman-e-daurān-e-duniyā meñ hai burhānī kā shor
mere ghar ke bām-o-dar sab ban ga.e haiñ qissa-go
hai mohabbat kī ḳhamoshī aur pashemānī kā shor
zabt-e-ġham ko tuul de jab ziist kī yaksāniyat
maut kī āvāz se aatā hai āsānī kā shor
maiñ parī-paikar huuñ lekin be-zabāñ hargiz nahīñ
saarī duniyā ne sunā hai zarf-e-nisvānī kā shor
vo mujassam ḳhush-badan yuuñ to suḳhanvar hai magar
us ke andar gūñjtā hai ramz-e-pinhānī kā shor
sab sitāre jhilmilā.e chāñd kī āġhosh meñ
jab añdhere meñ vo laayā apnī tābānī kā shor
us ne parbat par sadā dī jā ke mujh ko 'ā.isha'
aur vahāñ se lauT aayā merī vīrānī kā shor
wo jo apni zat mein rakhte hain uryani ka shor
KHuld se aae hain le ke ruh-e-yazdani ka shor
dasht mein rahte hain pyase aur dariche wa kiye
KHush hua karte hain sun ke dur se pani ka shor
ek laDki chuDiyan khanka rahi thi aur tabhi
us khanak se uTh raha tha jaise zindani ka shor
har kisi ka ek la-zahir muqarrab hai magar
dushman-e-dauran-e-duniya mein hai burhani ka shor
mere ghar ke baam-o-dar sab ban gae hain qissa-go
hai mohabbat ki KHamoshi aur pashemani ka shor
zabt-e-gham ko tul de jab zist ki yaksaniyat
maut ki aawaz se aata hai aasani ka shor
main pari-paikar hun lekin be-zaban hargiz nahin
sari duniya ne suna hai zarf-e-niswani ka shor
wo mujassam KHush-badan yun to suKHanwar hai magar
us ke andar gunjta hai ramz-e-pinhani ka shor
sab sitare jhilmilae chand ki aaghosh mein
jab andhere mein wo laya apni tabani ka shor
us ne parbat par sada di ja ke mujh ko 'aisha'
aur wahan se lauT aaya meri virani ka shor
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.