wo jo be-niyaz-e-jahan kare mujhe us nazar ki talash hai
wo jo be-niyaz-e-jahan kare mujhe us nazar ki talash hai
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
vo jo be-niyāz-e-jahāñ kare mujhe us nazar kī talāsh hai
jo tujhe banā de ġham-āshnā mujhe us asar kī talāsh hai
na rahe jahāñ pe pahuñch ke phir kisī dar pe jaane kī aarzū
jahāñ ishq kī bhī hai aabrū mujhe aise dar kī talāsh hai
jahāñ bikhrī pyaar kī dāstāñ jahāñ zarra zarra hai āstāñ
vo mirī zamīñ mirā āsmāñ usī rahguzar kī talāsh hai
haiñ tujhī se husn kī shoḳhiyāñ haiñ tujhī se ishq kī garmiyāñ
dil-e-zinda terī talāsh hī mirī umr bhar kī talāsh hai
vo bhī kyā maze kī thī zindagī jo safar safar meñ guzar ga.ī
nahīñ manziloñ meñ vo dil-kashī mujhe phir safar kī talāsh hai
jahāñ raqs meñ ho kiran kiran jahāñ ġhunche chaTkeñ chaman chaman
nazar aa.e jis meñ vo sīm-tan mujhe us sahar kī talāsh hai
ye tabassum un kā thā luT gayā sar-e-rāh dil kā ye qāfila
vo jo be-ḳhabar sā chalā gayā usī be-ḳhabar kī talāsh hai
jahāñ dard-o-dāġh kī justujū jahāñ nit na.ī na.ī aarzū
ki jise talāsh-e-sukūñ nahīñ mujhe us jigar kī talāsh hai
wo jo be-niyaz-e-jahan kare mujhe us nazar ki talash hai
jo tujhe bana de gham-ashna mujhe us asar ki talash hai
na rahe jahan pe pahunch ke phir kisi dar pe jaane ki aarzu
jahan ishq ki bhi hai aabru mujhe aise dar ki talash hai
jahan bikhri pyar ki dastan jahan zarra zarra hai aastan
wo meri zamin mera aasman usi rahguzar ki talash hai
hain tujhi se husn ki shoKHiyan hain tujhi se ishq ki garmiyan
dil-e-zinda teri talash hi meri umr bhar ki talash hai
wo bhi kya maze ki thi zindagi jo safar safar mein guzar gai
nahin manzilon mein wo dil-kashi mujhe phir safar ki talash hai
jahan raqs mein ho kiran kiran jahan ghunche chaTken chaman chaman
nazar aae jis mein wo sim-tan mujhe us sahar ki talash hai
ye tabassum un ka tha luT gaya sar-e-rah dil ka ye qafila
wo jo be-KHabar sa chala gaya usi be-KHabar ki talash hai
jahan dard-o-dagh ki justuju jahan nit nai nai aarzu
ki jise talash-e-sukun nahin mujhe us jigar ki talash hai
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 26)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.