wo jo bhi karen shikwe KHamosh suna karna
vo jo bhī kareñ shikve ḳhāmosh sunā karnā
dastūr hai ulfat kā apnoñ se gila karnā
turbat pe mirī aa kar itnī to vafā karnā
do phuul chaḌhā kar tum baḳhshish kī duā karnā
bechain rahā ab tak us but kī mohabbat meñ
hotā vo nahīñ merā āḳhir mujhe kyā karnā
sheva hī rahā apnā zid un kī uThāne kā
un kī bhī ye aadat hai apnā hī kahā karnā
sayyād na kar aisā kambaḳht sitam hai ye
bulbul ko bahāroñ meñ gulshan se judā karnā
duniyā ke sitam haiñ kuchh aise hī yahāñ 'bāsir'
be-dard zamāne meñ achchhoñ kā burā karnā
wo jo bhi karen shikwe KHamosh suna karna
dastur hai ulfat ka apnon se gila karna
turbat pe meri aa kar itni to wafa karna
do phul chaDha kar tum baKHshish ki dua karna
bechain raha ab tak us but ki mohabbat mein
hota wo nahin mera aaKHir mujhe kya karna
shewa hi raha apna zid un ki uThane ka
un ki bhi ye aadat hai apna hi kaha karna
sayyaad na kar aisa kambaKHt sitam hai ye
bulbul ko bahaaron mein gulshan se juda karna
duniya ke sitam hain kuchh aise hi yahan 'basir'
be-dard zamane mein achchhon ka bura karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.