Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo bichhDa to kahin bhi meri shunawai na thi

Shahabullah Shahab

wo jo bichhDa to kahin bhi meri shunawai na thi

Shahabullah Shahab

MORE BYShahabullah Shahab

    vo jo bichhḌā to kahīñ bhī mirī shunavā.ī na thī

    us phir baa'd meñ koī bhī ḳhabar aa.ī na thī

    us ghar to thā mire ghar se bulandī pe bahut

    us sochoñ meñ magar koī bhī ūñchā.ī na thī

    raat hamrāz thī aatī thī har ik chiiz nazar

    din jo raushan huā phir aañkh meñ bīnā.ī na thī

    mehrbāñ un pe agarche rahā mahtāb-e-falak

    raushnī mere sitāroñ bhī harjā.ī na thī

    'umr bhar chalte rahe haath meñ ham haath liye

    sach to ye hai ki zarā bhar bhī shanāsā.ī na thī

    us ke kalmāt bahut saḳht the ye maan liyā

    us bātoñ se mujhe koī bhī rusvā.ī na thī

    guftugū kartā thā jaise koī ḳhushbū ho 'shahāb'

    shahr meñ us mahak bhī pazīrā.ī na thī

    wo jo bichhDa to kahin bhi meri shunawai na thi

    us ki phir ba'd mein koi bhi KHabar aai na thi

    us ka ghar to tha mere ghar se bulandi pe bahut

    us ki sochon mein magar koi bhi unchai na thi

    raat hamraaz thi aati thi har ek chiz nazar

    din jo raushan hua phir aankh mein binai na thi

    mehrban un pe agarche raha mahtab-e-falak

    raushni mere sitaron ki bhi harjai na thi

    'umr bhar chalte rahe hath mein hum hath liye

    sach to ye hai ki zara bhar bhi shanasai na thi

    us ke kalmat bahut saKHt the ye man liya

    us ki baaton se mujhe koi bhi ruswai na thi

    guftugu karta tha jaise koi KHushbu ho 'shahab'

    shahr mein us ki mahak ki bhi pazirai na thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now