wo jo bichhDe maut yaad aane lagi
vo jo bichhḌe maut yaad aane lagī
zindagī tanhā thī ghabrāne lagī
jab vo mere haal par hañsne lage
mujh ko duniyā par hañsī aane lagī
ghar se vo jaate haiñ ghar kī ḳhair ho
raunaq-e-dīvār-o-dar jaane lagī
itnā jaage intizār-e-dost meñ
hasratoñ ko niiñd sī aane lagī
be-sahārā ho chalī thī zindagī
vo to kahiye un kī yaad aane lagī
us nazar kī ek jumbish par 'nazīr'
kā.enāt-e-ishq lahrāne lagī
wo jo bichhDe maut yaad aane lagi
zindagi tanha thi ghabrane lagi
jab wo mere haal par hansne lage
mujh ko duniya par hansi aane lagi
ghar se wo jate hain ghar ki KHair ho
raunaq-e-diwar-o-dar jaane lagi
itna jage intizar-e-dost mein
hasraton ko nind si aane lagi
be-sahaara ho chali thi zindagi
wo to kahiye un ki yaad aane lagi
us nazar ki ek jumbish par 'nazir'
kaenat-e-ishq lahrane lagi
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 108)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.