wo jo bolen to baat jati hai
vo jo boleñ to baat jaatī hai
chup rahūñ maiñ to raat jaatī hai
saath hūroñ ke hai shahīd tirā
kyā adam ko barāt jaatī hai
mai ke piine se kar to luuñ tauba
ārzū-e-najāt jaatī hai
dil-lagī kā maza jab aatā hai
hastī-e-be-sabāt jaatī hai
ḳhuub aatā hai lutf-e-āzādī
jab ye qaid-e-hayāt jaatī hai
kyā karūñ 'dāġh' vasl meñ shikva
baat kahne meñ raat jaatī hai
wo jo bolen to baat jati hai
chup rahun main to raat jati hai
sath huron ke hai shahid tera
kya adam ko baraat jati hai
mai ke pine se kar to lun tauba
aarzu-e-najat jati hai
dil-lagi ka maza jab aata hai
hasti-e-be-sabaat jati hai
KHub aata hai lutf-e-azadi
jab ye qaid-e-hayat jati hai
kya karun 'dagh' wasl mein shikwa
baat kahne mein raat jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.