wo jo chahe to ye surat bhi nikal sakti hai
vo jo chāhe to ye sūrat bhī nikal saktī hai
ek duniyā mire kashkol pe pal saktī hai
nashsha-e-zulm meñ sochā bhī nahīñ thā us ne
koī gardan kisī talvār pe chal saktī hai
dil ko ashkoñ kī tamāzat se bachā le varna
ye vo bastī hai jo barsāt meñ jal saktī hai
jism aisā hai ki faulād bhī sharminda ho
dhuup aisī hai ki parchhā.ī pighal saktī hai
ai mirī qabr tujhe maiñ ne ijāzat de dī
terī miTTī mirī miTTī se badal saktī hai
ḳhushk āñkhoñ meñ faqat ret nahīñ vahshat kī
ye zamīñ apne ḳhazāne bhī ugal saktī hai
terī duniyā mire masraf kī nahīñ hai lekin
chalnā chāhe to mire saath ye chal saktī hai
wo jo chahe to ye surat bhi nikal sakti hai
ek duniya mere kashkol pe pal sakti hai
nashsha-e-zulm mein socha bhi nahin tha us ne
koi gardan kisi talwar pe chal sakti hai
dil ko ashkon ki tamazat se bacha le warna
ye wo basti hai jo barsat mein jal sakti hai
jism aisa hai ki faulad bhi sharminda ho
dhup aisi hai ki parchhai pighal sakti hai
ai meri qabr tujhe main ne ijazat de di
teri miTTi meri miTTi se badal sakti hai
KHushk aankhon mein faqat ret nahin wahshat ki
ye zamin apne KHazane bhi ugal sakti hai
teri duniya mere masraf ki nahin hai lekin
chalna chahe to mere sath ye chal sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.