Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo chhup jate the kabon mein sanam-KHanon mein

Makhdoom Mohiuddin

wo jo chhup jate the kabon mein sanam-KHanon mein

Makhdoom Mohiuddin

MORE BYMakhdoom Mohiuddin

    vo jo chhup jaate the ka.aboñ meñ sanam-ḳhānoñ meñ

    un ko ke biThāyā gayā dīvānoñ meñ

    fasl-e-gul hotī thī kyā jashn-e-junūñ hotā thā

    aaj kuchh bhī nahīñ hotā hai gulistānoñ meñ

    aaj to talḳhī-e-daurāñ bhī bahut halkī hai

    ghol do hijr rātoñ ko bhī paimānoñ meñ

    aaj tak tanz-e-mohabbat asar baaqī hai

    qahqahe gūñjte phirte haiñ bayābānoñ meñ

    vasl hai un adā hijr hai un andāz

    kaun rañg bharūñ ishq ke afsānoñ meñ

    shahr meñ dhuum hai ik sho.ala-navā 'maḳhdūm'

    tazkire rastoñ meñ charche haiñ parī-ḳhānoñ meñ

    wo jo chhup jate the kabon mein sanam-KHanon mein

    un ko la la ke biThaya gaya diwanon mein

    fasl-e-gul hoti thi kya jashn-e-junun hota tha

    aaj kuchh bhi nahin hota hai gulistanon mein

    aaj to talKHi-e-dauran bhi bahut halki hai

    ghol do hijr ki raaton ko bhi paimanon mein

    aaj tak tanz-e-mohabbat ka asar baqi hai

    qahqahe gunjte phirte hain bayabanon mein

    wasl hai un ki ada hijr hai un ka andaz

    kaun sa rang bharun ishq ke afsanon mein

    shahr mein dhum hai ek shoala-nawa ki 'maKHdum'

    tazkire raston mein charche hain pari-KHanon mein

    Source :
    • Bisat-e-Raqs
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now