wo jo dariyaon ke pani pe pala karta hai
vo jo dariyāoñ ke paanī pe palā kartā hai
vahī naañ ḳhud ko samundar jo kahā kartā hai
chahchahānā merī 'ādat bhī hai majbūrī bhī
mere saath ek parinda bhī rahā kartā hai
aadmī koī bharose kā nahīñ miltā hai
koī ham-shakl zarūr us kā huā kartā hai
sīnoñ meñ aag dabī rahtī hai ḳhāmoshī se
is liye laavā chaTānoñ meñ rahā kartā hai
āsmāñ aur hai jo ham ko nazar aatā hai
uḌne vāloñ ke liye aur huā kartā hai
merī majbūrī kā rakhtā hai bahut ziyāda ḳhayāl
mujh se hotā nahīñ jo kaam ḳhudā kartā hai
wo jo dariyaon ke pani pe pala karta hai
wahi nan KHud ko samundar jo kaha karta hai
chahchahana meri 'adat bhi hai majburi bhi
mere sath ek parinda bhi raha karta hai
aadmi koi bharose ka nahin milta hai
koi ham-shakl zarur us ka hua karta hai
sinon mein aag dabi rahti hai KHamoshi se
is liye lawa chaTanon mein raha karta hai
aasman aur hai jo hum ko nazar aata hai
uDne walon ke liye aur hua karta hai
meri majburi ka rakhta hai bahut ziyaada KHayal
mujh se hota nahin jo kaam KHuda karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.