wo jo din hijr-e-yar mein guzre
vo jo din hijr-e-yār meñ guzre
kuchh taḌap kuchh qarār meñ guzre
vahī hāsil the zindagānī ke
chaar din jo bahār meñ guzre
kyā kiyā tum se kaise kaise vahm
dil-e-be-e'tibār meñ guzre
kitnī kaliyoñ ke kitne phūloñ ke
qāfile nau-bahār meñ guzre
zindagī ke liye mile the jo din
maut ke intizār meñ guzre
hasratoñ ke hujūm meñ tirī yaad
jaise mahmil ġhubār meñ guzre
ham chaman meñ rahe to aise rahe
jaise din ḳhārzār meñ guzre
ġham-e-jānāñ se bach rahe the jo din
vo ġham-e-rozgār meñ guzre
zindagī kī yahī tamannā thī
aap kī rahguzār meñ guzre
jāñ-nisāroñ kā jā.eza thā vahāñ
ham bhī pichhlī qatār meñ guzre
kaaTe kaTtā nahīñ vo vaqt 'razā'
jo kisī intizār meñ guzre
wo jo din hijr-e-yar mein guzre
kuchh taDap kuchh qarar mein guzre
wahi hasil the zindagani ke
chaar din jo bahaar mein guzre
kya kiya tum se kaise kaise wahm
dil-e-be-e'tibar mein guzre
kitni kaliyon ke kitne phulon ke
qafile nau-bahaar mein guzre
zindagi ke liye mile the jo din
maut ke intizar mein guzre
hasraton ke hujum mein teri yaad
jaise mahmil ghubar mein guzre
hum chaman mein rahe to aise rahe
jaise din KHarzar mein guzre
gham-e-jaanan se bach rahe the jo din
wo gham-e-rozgar mein guzre
zindagi ki yahi tamanna thi
aap ki rahguzar mein guzre
jaan-nisaron ka jaeza tha wahan
hum bhi pichhli qatar mein guzre
kaTe kaTta nahin wo waqt 'raza'
jo kisi intizar mein guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.