wo jo dost tha wo raqib hai
vo jo dost thā vo raqīb hai
ye safar bhī kitnā ajiib hai
vo jo qātiloñ ke qarīb hai
vahī shāntī kā naqīb hai
mujhe ġham milā tumheñ har ḳhushī
ye to apnā apnā nasīb hai
hameñ inqalāb se kyā milā
jo ġharīb thā vo ġharīb hai
wo jo dost tha wo raqib hai
ye safar bhi kitna ajib hai
wo jo qatilon ke qarib hai
wahi shanti ka naqib hai
mujhe gham mila tumhein har KHushi
ye to apna apna nasib hai
hamein inqalab se kya mila
jo gharib tha wo gharib hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.