wo jo duniya se guzar jate hain
vo jo duniyā se guzar jaate haiñ
koī batlā.e kidhar jaate haiñ
zindagī roz hī dhamkātī hai
roz hī maut se Dar jaate haiñ
chhoḌ dete haiñ vo piñjre ko khulā
aur pañkhoñ ko kutar jaate haiñ
ham ko jiine nahīñ degī duniyā
ham chalo saath meñ mar jaate haiñ
log chalte haiñ zamāne kī taraf
ham jidhar ghar hai udhar jaate haiñ
wo jo duniya se guzar jate hain
koi batlae kidhar jate hain
zindagi roz hi dhamkati hai
roz hi maut se Dar jate hain
chhoD dete hain wo pinjre ko khula
aur pankhon ko kutar jate hain
hum ko jine nahin degi duniya
hum chalo sath mein mar jate hain
log chalte hain zamane ki taraf
hum jidhar ghar hai udhar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.