Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo ek chehra damak raha hai jamal se

Yashab Tamanna

wo jo ek chehra damak raha hai jamal se

Yashab Tamanna

MORE BYYashab Tamanna

    vo jo ek chehra damak rahā hai jamāl se

    use mil rahī hai ḳhushī kisī ke ḳhayāl se

    maiñ ne sirf ek dā.ere meñ safar kiyā

    kabhī be-niyāz bhī kar mujhe mah-o-sāl se

    kabhī hañs ke ḳhud gale se us ko lagā liyā

    kabhī ro diye haiñ lipaT ke ḳhud malāl se

    tujhe kyā ḳhabar ki vo kaun hai sar-e-rahguzar

    kabhī sarsarī na guzar kisī ke savāl se

    vo jo muskurā ke guzar rahā hai qarīb se

    use āshnā.ī zarūr hai mere haal se

    mujhe aasrā bhī nahīñ kisī duāoñ

    mujhe ḳhauf aatā hai yuuñ bhī vaqt-e-zavāl se

    'yashab' apne aap se mil ke kitnā bhalā lagā

    mujhe fursateñ nahīñ milīñ ka.ī saal se

    wo jo ek chehra damak raha hai jamal se

    use mil rahi hai KHushi kisi ke KHayal se

    main ne sirf ek hi daere mein safar kiya

    kabhi be-niyaz bhi kar mujhe mah-o-sal se

    kabhi hans ke KHud hi gale se us ko laga liya

    kabhi ro diye hain lipaT ke KHud hi malal se

    tujhe kya KHabar ki wo kaun hai sar-e-rahguzar

    kabhi sarsari na guzar kisi ke sawal se

    wo jo muskura ke guzar raha hai qarib se

    use aashnai zarur hai mere haal se

    mujhe aasra bhi nahin kisi ki duaon ka

    mujhe KHauf aata hai yun bhi waqt-e-zawal se

    'yashab' apne aap se mil ke kitna bhala laga

    mujhe fursaten hi nahin milin kai sal se

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 721)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now