wo jo guftugu mein sharik the bhala kaise mujhse bigaD gae
wo jo guftugu mein sharik the bhala kaise mujhse bigaD gae
Syed Fakhir Rizwi
MORE BYSyed Fakhir Rizwi
vo jo guftugū meñ sharīk the bhalā kaise mujh se bigaḌ ga.e
mirī umr bhar ke mukālme usī ek baat pe aḌ ga.e
vo jo chāhatoñ ke amiin the vo jo har kisī kā yaqīn the
vo jo zindagī se hasīn the vahī log ham se bichhaḌ ga.e
jinheñ āñdhiyoñ ne khaḌā kiyā jinheñ ḳhud havā ne baḌā kiyā
baḌī ḳhāmushī se guzashta shab vahī peḌ jaḌ se ukhaḌ ga.e
tirī be-ruḳhī ke ḳhayāl se tire ek harf-e-savāl se
mirī ḳhvāhishoñ ke vo dā.ere jinheñ phailnā thā sukaḌ ga.e
tire jism se tire ism se tirī ik nazar ke tilism se
kabhī dil meñ vasvase jaag uThe kabhī ḳhvāb aañkh meñ jaḌ ga.e
na vo tāzgī mire dil meñ hai na vo raushnī hai nigāh meñ
mujhe us ne jab se bhulā diyā mire ḳhāl-o-ḳhad hī bigaḌ ga.e
wo jo guftugu mein sharik the bhala kaise mujh se bigaD gae
meri umr bhar ke mukalme usi ek baat pe aD gae
wo jo chahaton ke amin the wo jo har kisi ka yaqin the
wo jo zindagi se hasin the wahi log hum se bichhaD gae
jinhen aandhiyon ne khaDa kiya jinhen KHud hawa ne baDa kiya
baDi KHamushi se guzashta shab wahi peD jaD se ukhaD gae
teri be-ruKHi ke KHayal se tere ek harf-e-sawal se
meri KHwahishon ke wo daere jinhen phailna tha sukaD gae
tere jism se tere ism se teri ek nazar ke tilism se
kabhi dil mein waswase jag uThe kabhi KHwab aankh mein jaD gae
na wo tazgi mere dil mein hai na wo raushni hai nigah mein
mujhe us ne jab se bhula diya mere KHal-o-KHad hi bigaD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.