wo jo har dam mere KHayal mein hai
vo jo har dam mire ḳhayāl meñ hai
jaane kis parda-e-jamāl meñ hai
chāhte ho to TuuT kar chāho
ḳhud javāb aap ke savāl meñ hai
haañ mirā fan kamāl ko pahuñchā
ziist lekin mirī zavāl meñ hai
fikr kyā surḳh-rū ho yā TuuTe
dil mirā un kī dekh-bhāl meñ hai
kyā zarūrī hai ham javāb hī deñ
ek talvār chup kī Dhaal meñ hai
un ko fursat kahāñ jo ye socheñ
'bāno' imsāl kis vabāl meñ hai
wo jo har dam mere KHayal mein hai
jaane kis parda-e-jamal mein hai
chahte ho to TuT kar chaho
KHud jawab aap ke sawal mein hai
han mera fan kamal ko pahuncha
zist lekin meri zawal mein hai
fikr kya surKH-ru ho ya TuTe
dil mera un ki dekh-bhaal mein hai
kya zaruri hai hum jawab hi den
ek talwar chup ki Dhaal mein hai
un ko fursat kahan jo ye sochen
'bano' imsal kis wabaal mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.