wo jo har-waqt sochta hai mujhe
vo jo har-vaqt sochtā hai mujhe
ḳhud se bichhḌā huā milā hai mujhe
ek aahaT sī aatī rahtī hai
koī to hai jo DhūñDhtā hai mujhe
apnā āġhāz ho na ho lekin
apne anjām kā pata hai mujhe
gahre paanī kī or baḌhte hī
ḳhud-ba-ḳhud dariyā roktā hai mujhe
hāl-e-dil jab sunānā chāhā to
us ne hañs ke kahā pata hai mujhe
ḳhud par āḳhir ġhurūr kyuuñ na karūñ
us ke har ḳhvāb ne chunā hai mujhe
āsmāñ se utar ke chāñd 'sabā'
de ke thapkī sulā rahā hai mujhe
wo jo har-waqt sochta hai mujhe
KHud se bichhDa hua mila hai mujhe
ek aahaT si aati rahti hai
koi to hai jo DhunDhta hai mujhe
apna aaghaz ho na ho lekin
apne anjam ka pata hai mujhe
gahre pani ki or baDhte hi
KHud-ba-KHud dariya rokta hai mujhe
haal-e-dil jab sunana chaha to
us ne hans ke kaha pata hai mujhe
KHud par aaKHir ghurur kyun na karun
us ke har KHwab ne chuna hai mujhe
aasman se utar ke chand 'saba'
de ke thapki sula raha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.