wo jo ek shaKHs kam-suKHan sa lage
vo jo ik shaḳhs kam-suḳhan sā lage
zaat meñ apnī anjuman sā lage
ye bhī din aa ga.e asīrī meñ
ab to ġhuncha bhī ik chaman sā lage
vo musāfir bhalā kahāñ jaa.e
jo vatan meñ bhī be-vatan sā lage
us nazākat ko husn kahte haiñ
jis kā ehsās gul-badan sā lage
haa.e kyā vaqt aa gayā 'tābāñ'
jo janāza hai be-kafan sā lage
wo jo ek shaKHs kam-suKHan sa lage
zat mein apni anjuman sa lage
ye bhi din aa gae asiri mein
ab to ghuncha bhi ek chaman sa lage
wo musafir bhala kahan jae
jo watan mein bhi be-watan sa lage
us nazakat ko husn kahte hain
jis ka ehsas gul-badan sa lage
hae kya waqt aa gaya 'taban'
jo janaza hai be-kafan sa lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.