wo jo ek shaKHs wahan hai wo yahan kaise ho
vo jo ik shaḳhs vahāñ hai vo yahāñ kaise ho
hijr par vasl kī hālat kā gumāñ kaise ho
be-numū ḳhvāb meñ paivast jaḌeñ haiñ merī
ek gamle meñ koī naḳhl javāñ kaise ho
tum to alfāz ke nashtar se bhī mar jaate the
ab jo hālāt haiñ ai ahl-e-zabāñ kaise ho
aañkh ke pahle kināre pe khaḌā āḳhirī ashk
rañj ke rahm-o-karam par hai ravāñ kaise ho
bhāv-tāv meñ kamī beshī nahīñ ho saktī
haañ magar tujh se ḳharīdār ko naañ kaise ho
milte rahte haiñ mujhe aaj bhī 'ġhālib' ke ḳhutūt
vahī andāz-e-taḳhātub ki miyāñ kaise ho
wo jo ek shaKHs wahan hai wo yahan kaise ho
hijr par wasl ki haalat ka guman kaise ho
be-numu KHwab mein paiwast jaDen hain meri
ek gamle mein koi naKHl jawan kaise ho
tum to alfaz ke nashtar se bhi mar jate the
ab jo haalat hain ai ahl-e-zaban kaise ho
aankh ke pahle kinare pe khaDa aaKHiri ashk
ranj ke rahm-o-karam par hai rawan kaise ho
bhaw-taw mein kami beshi nahin ho sakti
han magar tujh se KHaridar ko nan kaise ho
milte rahte hain mujhe aaj bhi 'ghaalib' ke KHutut
wahi andaz-e-taKHatub ki miyan kaise ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.