wo jo kasa liye har dar pe khaDa hota hai
vo jo kaasa liye har dar pe khaḌā hotā hai
maiñ use roz batātā huuñ ḳhudā hotā hai
kitne darvāzoñ pe jhuktā hai tumheñ kyā mā'lūm
vo jo ik shaḳhs kisī ghar kā baḌā hotā hai
vaqt par kaam na aa paa.e to bhaa.ī kaisā
ghar meñ rakkhī huī talvār se kyā hotā hai
us ne tā'rīf ke patthar se kiyā hai zaḳhmī
ye nishāna baḌī mushkil se ḳhatā hotā hai
'ishq meñ sar kabhī jhuktā hī nahīñ hai 'nādir'
ye vo sajda hai jo āñkhoñ se adā hotā hai
wo jo kasa liye har dar pe khaDa hota hai
main use roz batata hun KHuda hota hai
kitne darwazon pe jhukta hai tumhein kya ma'lum
wo jo ek shaKHs kisi ghar ka baDa hota hai
waqt par kaam na aa pae to bhai kaisa
ghar mein rakkhi hui talwar se kya hota hai
us ne ta'rif ke patthar se kiya hai zaKHmi
ye nishana baDi mushkil se KHata hota hai
'ishq mein sar kabhi jhukta hi nahin hai 'nadir'
ye wo sajda hai jo aankhon se ada hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.