wo jo KHamosh hai sahma hua lagta hai mujhe
vo jo ḳhāmosh hai sahmā huā lagtā hai mujhe
jaane kyā baat hai badlā huā lagtā hai mujhe
chhoḌ ke sab ko mire paas vo aa baiThā magar
pyaar karte hue Dartā huā lagtā hai mujhe
us kī sāñsoñ meñ tapish hai nā harārat koī
phir bhī ik aag meñ jaltā huā lagtā hai mujhe
ek muddat huī hijrāñ kī nahīñ aag jalī
phir bhī dil apnā jhulastā huā lagtā hai mujhe
bhuul baiThī huuñ zamāne se magar yādoñ meñ
dil 'tarannum' kā machaltā huā lagtā hai mujhe
wo jo KHamosh hai sahma hua lagta hai mujhe
jaane kya baat hai badla hua lagta hai mujhe
chhoD ke sab ko mere pas wo aa baiTha magar
pyar karte hue Darta hua lagta hai mujhe
us ki sanson mein tapish hai na hararat koi
phir bhi ek aag mein jalta hua lagta hai mujhe
ek muddat hui hijran ki nahin aag jali
phir bhi dil apna jhulasta hua lagta hai mujhe
bhul baiThi hun zamane se magar yaadon mein
dil 'tarannum' ka machalta hua lagta hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.