wo jo log ahl-e-kamal the wo kahan gae
vo jo log ahl-e-kamāl the vo kahāñ ga.e
vo jo aap apnī misāl the vo kahāñ ga.e
mire dil meñ rah ga.ī sirf hairat-e-ā.ina
vo jo naqsh the ḳhad-o-ḳhāl the vo kahāñ ga.e
girī āsmāñ se to ḳhaak ḳhaak meñ aa milī
kabhī ḳhaak meñ par-o-bāl the vo kahāñ ga.e
sar-e-jāñ ye kyuuñ faqat ek shaam Thahar ga.ī
shab-o-roz the mah-o-sāl the vo kahāñ ga.e
mire zehn kā ye shajar udaas udaas hai
vo jo tā.irān-e-ḳhayāl the vo kahāñ ga.e
wo jo log ahl-e-kamal the wo kahan gae
wo jo aap apni misal the wo kahan gae
mere dil mein rah gai sirf hairat-e-aina
wo jo naqsh the KHad-o-KHal the wo kahan gae
giri aasman se to KHak KHak mein aa mili
kabhi KHak mein par-o-baal the wo kahan gae
sar-e-jaan ye kyun faqat ek sham Thahar gai
shab-o-roz the mah-o-sal the wo kahan gae
mere zehn ka ye shajar udas udas hai
wo jo tairan-e-KHayal the wo kahan gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.