wo jo milta tha kabhi mujhse bahaaron ki tarah
wo jo milta tha kabhi mujhse bahaaron ki tarah
Syeda Nafis Bano shama
MORE BYSyeda Nafis Bano shama
vo jo miltā thā kabhī mujh se bahāroñ kī tarah
aaj chubhtā hai nigāhoñ meñ vo ḳhāroñ kī tarah
vo bhī kyā shaḳhs hai jo qasr-e-tasavvur meñ mujhe
roz ārāsta kartā hai mazāroñ kī tarah
Dūbne hī nahīñ detā kabhī kashtī merī
ab bhī vo sāmne rahtā hai kināroñ kī tarah
laakh mahtāb mirī ziist meñ aa.e lekin
darmiyāñ tujh ko bhī dekhā hai sitāroñ kī tarah
us kī āñkhoñ ne 'ajab sehr kiyā hai ham par
rāt-bhar phirte rahe bāda-gusāroñ kī tarah
aap kī āñkhoñ se kuchh aur pata chaltā hai
aap dekhā na kareñ ham ko nazāroñ kī tarah
kis ko mā'lūm chhupā.e hai vo ḳhanjar kitne
vo jo zāhir meñ milā kartā hai yāroñ kī tarah
us ke chehre pe to narmī hai halāvat hai bahut
'sham.a' lahja hai magar us kā sharāroñ kī tarah
wo jo milta tha kabhi mujh se bahaaron ki tarah
aaj chubhta hai nigahon mein wo KHaron ki tarah
wo bhi kya shaKHs hai jo qasr-e-tasawwur mein mujhe
roz aarasta karta hai mazaron ki tarah
Dubne hi nahin deta kabhi kashti meri
ab bhi wo samne rahta hai kinaron ki tarah
lakh mahtab meri zist mein aae lekin
darmiyan tujh ko bhi dekha hai sitaron ki tarah
us ki aankhon ne 'ajab sehr kiya hai hum par
raat-bhar phirte rahe baada-gusaron ki tarah
aap ki aankhon se kuchh aur pata chalta hai
aap dekha na karen hum ko nazaron ki tarah
kis ko ma'lum chhupae hai wo KHanjar kitne
wo jo zahir mein mila karta hai yaron ki tarah
us ke chehre pe to narmi hai halawat hai bahut
'shama' lahja hai magar us ka shararon ki tarah
- Book : Kuch Dard ke sahra se (Pg. 83)
- Author : Syeda Nafis Bano Shama
- Publication : Aabshaar Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.