wo jo muddat ke baad aaya hai
vo jo muddat ke baad aaya hai
yād-e-māzī bhī saath laayā hai
merī bad-hāliyoñ pe ḳhush hai jo
kaash kah pā.ūñ vo parāyā hai
merī parchhā.ī ġhaur se dekho
mere ajdād kā hī saayā hai
chāhe kaT jaa.e sar jhukegā nahīñ
zarf kuchh aisā ham ne paayā hai
ham to ḳhā.if nahīñ shahādat se
ham ne karbal ko bhī sajāyā hai
wo jo muddat ke baad aaya hai
yaad-e-mazi bhi sath laya hai
meri bad-haaliyon pe KHush hai jo
kash kah paun wo paraya hai
meri parchhai ghaur se dekho
mere ajdad ka hi saya hai
chahe kaT jae sar jhukega nahin
zarf kuchh aisa hum ne paya hai
hum to KHaif nahin shahadat se
hum ne karbal ko bhi sajaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.