wo jo mujhse KHafa ho gaya
vo jo mujh se ḳhafā ho gayā
ek mahshar bapā ho gayā
thā mirā ġhair kā ho gayā
bā-vafā bevafā ho gayā
kal to vahshī na thā is qadar
aaj insāñ ko kyā ho gayā
ḳhud pe yuuñ naaz karne lagā
husn jaise ḳhudā ho gayā
had se jab baḌh gayā dard-e-dil
aap hī ḳhud davā ho gayā
kis se 'rāmish' karoge gila
thā jo honā huā ho gayā
wo jo mujh se KHafa ho gaya
ek mahshar bapa ho gaya
tha mera ghair ka ho gaya
ba-wafa bewafa ho gaya
kal to wahshi na tha is qadar
aaj insan ko kya ho gaya
KHud pe yun naz karne laga
husn jaise KHuda ho gaya
had se jab baDh gaya dard-e-dil
aap hi KHud dawa ho gaya
kis se 'ramish' karoge gila
tha jo hona hua ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.