wo jo mujhse KHafa nahin hota
vo jo mujh se ḳhafā nahīñ hotā
dard had se sivā nahīñ hotā
merī koshish ko jo razā miltī
lafz yuuñ be-sadā nahīñ hotā
ham-zabāñ to bahut mile lekin
kyuuñ koī ham-navā nahīñ hotā
ham agar pahle jaag jaate to
sāneha vo huā nahīñ hotā
aag bastī kī gar bujhātā tū
us kā ghar bhī jalā nahīñ hotā
koī koshish kabhī to kī hotī
tum se kuchh bhī chhupā nahīñ hotā
fikr hotī nahīñ jo roTī kī
koī apnā judā nahīñ hotā
wo jo mujh se KHafa nahin hota
dard had se siwa nahin hota
meri koshish ko jo raza milti
lafz yun be-sada nahin hota
ham-zaban to bahut mile lekin
kyun koi ham-nawa nahin hota
hum agar pahle jag jate to
saneha wo hua nahin hota
aag basti ki gar bujhata tu
us ka ghar bhi jala nahin hota
koi koshish kabhi to ki hoti
tum se kuchh bhi chhupa nahin hota
fikr hoti nahin jo roTi ki
koi apna juda nahin hota
- Book : Khat-e-abyaz (Pg. 80)
- Author : Shifa Kajganvi
- Publication : Shivna Prakashan (M.P.)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.