wo jo mujhse milta nahin
vo jo mujh se miltā nahīñ
shāyad mujh ko samjhā nahīñ
us kā ġham hai merā ġham
merā ġham kyuuñ us kā nahīñ
ab to aisā lagtā hai
sach bhī jaise sachchā nahīñ
us ko kaise bhūlūñ maiñ
ab ye mere bas kā nahīñ
ab to sab hī karte haiñ
pyaar kisī ko hotā nahīñ
mujh ko zinda rakhtā hai
vo jo mujh pe martā nahīñ
wo jo mujh se milta nahin
shayad mujh ko samjha nahin
us ka gham hai mera gham
mera gham kyun us ka nahin
ab to aisa lagta hai
sach bhi jaise sachcha nahin
us ko kaise bhulun main
ab ye mere bas ka nahin
ab to sab hi karte hain
pyar kisi ko hota nahin
mujh ko zinda rakhta hai
wo jo mujh pe marta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.