wo jo patthar hain wahi shishon se wabasta rahen
vo jo patthar haiñ vahī shīshoñ se vābasta raheñ
ham kahāñ tak TūTte rishtoñ se vābasta raheñ
aap dohrāte raheñ sachchī kitāboñ kā kahā
aur lakīreñ an-ginat chehroñ se vābasta raheñ
rāt-din jin ke laboñ par ruuh kā parchā rahe
un ke dil meñ hai na.e jismoñ se vābasta raheñ
ab ubharte jaa.e haiñ har har taraf manzar na.e
kyoñ nigāheñ aap ke katboñ se vābasta raheñ
hāl-o-māzī kā ta'alluq Thiik rakhnā hai agar
kal ke bachche aaj ke bachchoñ se vābasta raheñ
aap tā’bīroñ kī ‘ismat lūTte rahiye huzūr
aur mirī āñkheñ yūñhī ḳhvāboñ se vābasta raheñ
dā.eroñ kī qaid se bāhar nikalne ke liye
ye zarūrī hai ka.ī nasloñ se vābasta raheñ
wo jo patthar hain wahi shishon se wabasta rahen
hum kahan tak TuTte rishton se wabasta rahen
aap dohraate rahen sachchi kitabon ka kaha
aur lakiren an-ginat chehron se wabasta rahen
raat-din jin ke labon par ruh ka parcha rahe
un ke dil mein hai nae jismon se wabasta rahen
ab ubharte jae hain har har taraf manzar nae
kyon nigahen aap ke katbon se wabasta rahen
haal-o-mazi ka ta'alluq Thik rakhna hai agar
kal ke bachche aaj ke bachchon se wabasta rahen
aap ta’biron ki ‘ismat luTte rahiye huzur
aur meri aankhen yunhi KHwabon se wabasta rahen
daeron ki qaid se bahar nikalne ke liye
ye zaruri hai kai naslon se wabasta rahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.