wo jo shairi ka sabab hua
vo jo shā.irī kā sabab huā
mirī zindagī kā sabab huā
jise dekh dekh sukūñ milā
vahī be-kalī kā sabab huā
kabhī vaj.h thā vo gumān kī
kabhī āgahī kā sabab huā
shab-e-hijr terā ḳhayāl bhī
baḌī raushnī kā sabab huā
mire dil kā TūTnā phūTnā
terī dil-lagī kā sabab huā
jise shā.irī se shaġhaf na thā
vahī shā.irī kā sabab huā
wo jo shairi ka sabab hua
meri zindagi ka sabab hua
jise dekh dekh sukun mila
wahi be-kali ka sabab hua
kabhi wajh tha wo guman ki
kabhi aagahi ka sabab hua
shab-e-hijr tera KHayal bhi
baDi raushni ka sabab hua
mere dil ka TuTna phuTna
teri dil-lagi ka sabab hua
jise shairi se shaghaf na tha
wahi shairi ka sabab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.