wo jo shaKHs apne hi taD mein so chhupa hai dil hi ki aaD mein
wo jo shaKHs apne hi taD mein so chhupa hai dil hi ki aaD mein
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
vo jo shaḳhs apne hī taaḌ meñ so chhupā hai dil hī kī aaḌ meñ
na vo bastī meñ na ujaaḌ meñ na vo jhaaḌ meñ na pahāḌ meñ
mujhe kaam tujh se hai ai junūñ na kahūñ kisī se na kuchh sunūñ
na kisī kī radd-o-qadah meñ huuñ na ukhāḌ meñ na pachhāḌ meñ
ye sabā ne qais se aa kahā ki sunā kuchh aur bhī mājrā
tire paas se jo chalā gayā to khaḌā hai naaqa ujaaḌ meñ
are aah tū ne ġhazab kiyā mire dil ko mujh se tuḌā liyā
mirī jī ko le ke jalā diyā paḌī iḳhtilāt ye pahāḌ meñ
ḳhafagī bhī turfa hai ek shai paḌe qisse hote haiñ lākhoñ tai
vo kahāñ milāp meñ lutf hai jo maza hai un kī bigāḌ meñ
mizha par hai pārā-e-dil thañbā vo masal huī hai ab ai ḳhudā
ki daraḳht se jo kabhī girā to vo aTkā un ke hī jhaaḌ meñ
kahīñ khiḌkiyoñ kī taraf bañdhī mirī TikTikī to ai lo abhī
gul-e-nargis aa ke lagā ga.ī vo parī har ek darāḌ meñ
mirī dil meñ nashshe kā hai makāñ mujhe sūjhtī haiñ vo mastiyāñ
ki khajūrī choTiyoñ vāliyāñ paḌī phirtī haiñ mire taaḌ meñ
baḌī dāḌhiyoñ pe na jā dilā ye sab āhūoñ kī haiñ mubtalā
ye shikār kaise haiñ barmalā inhīñ TaTTiyoñ kī to aaḌ meñ
khaḌī jhāñktī hai vahī parī nahīñ shub.h is meñ to vāqa.ī
vo jo itr-e-fitna kī baas thī so rachī huī hai kivāḌ meñ
na kar apnī jaan ko muzmahil are 'inshā' un se lagā na dil
tū digar na hovegā munfa.il kahīñ aa gayā jo latāḌ meñ
wo jo shaKHs apne hi taD mein so chhupa hai dil hi ki aaD mein
na wo basti mein na ujaD mein na wo jhaD mein na pahaD mein
mujhe kaam tujh se hai ai junun na kahun kisi se na kuchh sunun
na kisi ki radd-o-qadah mein hun na ukhaD mein na pachhaD mein
ye saba ne qais se aa kaha ki suna kuchh aur bhi majra
tere pas se jo chala gaya to khaDa hai naqa ujaD mein
are aah tu ne ghazab kiya mere dil ko mujh se tuDa liya
meri ji ko le ke jala diya paDi iKHtilat ye pahaD mein
KHafagi bhi turfa hai ek shai paDe qisse hote hain lakhon tai
wo kahan milap mein lutf hai jo maza hai un ki bigaD mein
mizha par hai para-e-dil thanba wo masal hui hai ab ai KHuda
ki daraKHt se jo kabhi gira to wo aTka un ke hi jhaD mein
kahin khiDkiyon ki taraf bandhi meri TikTiki to ai lo abhi
gul-e-nargis aa ke laga gai wo pari har ek daraD mein
meri dil mein nashshe ka hai makan mujhe sujhti hain wo mastiyan
ki khajuri choTiyon waliyan paDi phirti hain mere taD mein
baDi daDhiyon pe na ja dila ye sab aahuon ki hain mubtala
ye shikar kaise hain barmala inhin TaTTiyon ki to aaD mein
khaDi jhankti hai wahi pari nahin shubh is mein to waqai
wo jo itr-e-fitna ki bas thi so rachi hui hai kiwaD mein
na kar apni jaan ko muzmahil are 'insha' un se laga na dil
tu digar na howega munfail kahin aa gaya jo lataD mein
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.