wo jo sharminda-e-jafa na hua
vo jo sharminda-e-jafā na huā
ye bhī achchhā huā burā na huā
husn āmāda-e-karam thā magar
ishq mamnūn-e-mudda.ā na huā
maiñ bhī ta.anoñ ke nazr ho jaatā
ḳhair guzrī ki pārsā na huā
maut se raushnī mile shāyad
zindagī se to kuchh bhalā na huā
ab ye rah rah ke sochtā huuñ maiñ
kyā huā mujh se aur kyā na huā
wo jo sharminda-e-jafa na hua
ye bhi achchha hua bura na hua
husn aamada-e-karam tha magar
ishq mamnun-e-muddaa na hua
main bhi tanon ke nazr ho jata
KHair guzri ki parsa na hua
maut se raushni mile shayad
zindagi se to kuchh bhala na hua
ab ye rah rah ke sochta hun main
kya hua mujh se aur kya na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.