wo jo teri talab mein iza thi
vo jo terī talab meñ iizā thī
mere har dard kā mudāvā thī
maiñ tamāshā thā ik jahāñ ke liye
us pe bhī hasrat-e-tamāshā thī
laakh rāheñ thiiñ vahshatoñ ke liye
kis liye band rāh-e-sahrā thī
merī rusvā.ī thī mirī tauqīr
merī tanhā.ī thī merī sāthī
taj ke duniyā ko jab chale 'tā.ib'
saath ik aarzū kī duniyā thī
wo jo teri talab mein iza thi
mere har dard ka mudawa thi
main tamasha tha ek jahan ke liye
us pe bhi hasrat-e-tamasha thi
lakh rahen thin wahshaton ke liye
kis liye band rah-e-sahra thi
meri ruswai thi meri tauqir
meri tanhai thi meri sathi
taj ke duniya ko jab chale 'taib'
sath ek aarzu ki duniya thi
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 172)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.