wo jo the dar-ba-dar chune humne
vo jo the dar-ba-dar chune ham ne
apne jaise hī ghar chune ham ne
sab samundar nigal ga.e dekho
kitne gahre bhañvar chune ham ne
raat meñ ham-safar ke qadmoñ se
kuchh nujūm-o-qamar chune ham ne
ḳhvāb meñ ghar girā hue bedār
aur dīvār-o-dar chune ham ne
dhūp-chhāñv bikhar ga.e mil kar
phir ye shām-o-sahar chune ham ne
jab qafas se rihā hue panchhī
un ke kuchh bāl-o-par chune ham ne
jin pe lamhoñ ke koī phal na uge
vaqt ke vo shajar chune ham ne
Tuut kar din bikhar gayā saarā
phir ye āThoñ pahar chune ham ne
Duub kar niiñd ke samundar meñ
ḳhvāb ke kuchh guhar chune ham ne
manzileñ haiñ na rāste 'asrār'
kaise kaise safar chune ham ne
wo jo the dar-ba-dar chune hum ne
apne jaise hi ghar chune hum ne
sab samundar nigal gae dekho
kitne gahre bhanwar chune hum ne
raat mein ham-safar ke qadmon se
kuchh nujum-o-qamar chune hum ne
KHwab mein ghar gira hue bedar
aur diwar-o-dar chune hum ne
dhup-chhanw bikhar gae mil kar
phir ye sham-o-sahar chune hum ne
jab qafas se riha hue panchhi
un ke kuchh baal-o-par chune hum ne
jin pe lamhon ke koi phal na uge
waqt ke wo shajar chune hum ne
Tut kar din bikhar gaya sara
phir ye aaThon pahar chune hum ne
Dub kar nind ke samundar mein
KHwab ke kuchh guhar chune hum ne
manzilen hain na raste 'asrar'
kaise kaise safar chune hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.