wo jo yaadon ki raushni si thi
vo jo yādoñ kī raushnī sī thī
vo jo ābād ik galī sī thī
vo jo ik shahr thā samundar sā
aur samundar pe chāñdnī sī thī
vo jo jangal thā ik kivāḌoñ kā
aur jangal meñ zindagī sī thī
vo jo dīvār-pīchhe mukhḌe the
aur mukhḌoñ pe tāzgī sī thī
vo jo ik baaḌh thī gulāboñ kī
vo jo ḳhushbū dhulī dhulī sī thī
vo jo raste meñ ek kuTiyā thī
vo jo buḌhiyā jhukī jhukī sī thī
vo jo sūrat pe thā namak us kī
vo jo bātoñ meñ chāshnī sī thī
vo jo laḌkī thī ik pahelī sī
vo pahelī jo an-kahī sī thī
vo jo kone pe ek jāmun thā
vo jo Daalī harī-bharī sī thī
vo jo laḌkoñ kī ek gārad thī
vo jo ik fāḳhta Darī sī thī
vo jo laḌkā thā ik chharerā sā
aur rangat bhī sāñvlī sī thī
naam bhī yaad hai batā.eñ kyā
shakl bhī yaad hai bhalī sī thī
vo jo ik peḌ thā purānā sā
peḌ-ūpar jo ik parī sī thī
vo jo vīrāñ sī ek masjid thī
vo jo dīvār ik girī sī thī
shāh-e-jinnāt jis meñ rahtā thā
teḌhī-meḌhī jo ik galī sī thī
vo jo būḌhā thā surḳh āñkhoñ kā
vo jo laḌkī bujhī bujhī sī thī
vo jo bādal sā ek parda thā
ek khiḌkī jo adh-khulī sī thī
vo jo kāġhaz malā dalā sā thā
vo jo chiTThī muḌī-tuḌī sī thī
vo jo the āñsuoñ se bigḌe harf
raushnā.ī uḌī uḌī sī thī
vo jo āñkheñ thiiñ ik sitāra sī
vo jo ik lau charāġh kī sī thī
raat vo haal pūchhne aa.e
raat maiñ bhī thakī thakī sī thī
merī muTThī meñ ek kāġhaz thā
aur muTThī bhiñchī huī sī thī
paas ḳhabroñ kā ek malba thā
thī jo tasvīr adh-jalī sī thī
ik ḳhabar thī bahut adhūrī sī
ek surḳhī kaTī piTī sī thī
iḳhtilāfāt ne ujaaḌ diyā
vo jo bastī bharī-purī sī thī
ghar jale haiñ havāoñ kī shah par
ātish-e-ġham to bas yūñhī sī thī
wo jo yaadon ki raushni si thi
wo jo aabaad ek gali si thi
wo jo ek shahr tha samundar sa
aur samundar pe chandni si thi
wo jo jangal tha ek kiwaDon ka
aur jangal mein zindagi si thi
wo jo diwar-pichhe mukhDe the
aur mukhDon pe tazgi si thi
wo jo ek baDh thi gulabon ki
wo jo KHushbu dhuli dhuli si thi
wo jo raste mein ek kuTiya thi
wo jo buDhiya jhuki jhuki si thi
wo jo surat pe tha namak us ki
wo jo baaton mein chashni si thi
wo jo laDki thi ek paheli si
wo paheli jo an-kahi si thi
wo jo kone pe ek jamun tha
wo jo Dali hari-bhari si thi
wo jo laDkon ki ek garad thi
wo jo ek faKHta Dari si thi
wo jo laDka tha ek chharera sa
aur rangat bhi sanwli si thi
nam bhi yaad hai bataen kya
shakl bhi yaad hai bhali si thi
wo jo ek peD tha purana sa
peD-upar jo ek pari si thi
wo jo viran si ek masjid thi
wo jo diwar ek giri si thi
shah-e-jinnat jis mein rahta tha
teDhi-meDhi jo ek gali si thi
wo jo buDha tha surKH aankhon ka
wo jo laDki bujhi bujhi si thi
wo jo baadal sa ek parda tha
ek khiDki jo adh-khuli si thi
wo jo kaghaz mala dala sa tha
wo jo chiTThi muDi-tuDi si thi
wo jo the aansuon se bigDe harf
raushnai uDi uDi si thi
wo jo aankhen thin ek sitara si
wo jo ek lau charagh ki si thi
raat wo haal puchhne aae
raat main bhi thaki thaki si thi
meri muTThi mein ek kaghaz tha
aur muTThi bhinchi hui si thi
pas KHabron ka ek malba tha
thi jo taswir adh-jali si thi
ek KHabar thi bahut adhuri si
ek surKHi kaTi piTi si thi
iKHtilafat ne ujaD diya
wo jo basti bhari-puri si thi
ghar jale hain hawaon ki shah par
aatish-e-gham to bas yunhi si thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.