wo jo zaKHmon ki numaish karte hain
vo jo zaḳhmoñ kī numā.ish karte haiñ
in pe chārāgar bhī koshish karte haiñ
bas tumheñ paane kī ḳhvāhish karte haiñ
ham junūñ kī āzmā.ish karte haiñ
zindagī meñ kul milā kar dekheñ to
ḳhvāb aur taqdīr gardish karte hai
aañkh do ik ġham meñ rotī hī nahīñ
abr yakjā ho ke bārish karte haiñ
maulā terī ḳhalq ke sab log hī
ishq kab karte haiñ sāzish karte haiñ
asl meñ aksar hī mar jaate haiñ ham
ḳhvāb meñ jī bhar ke jumbish karte haiñ
maiñ hañsā detā huuñ tum ko āḳhirash
aur tumhāre log koshish karte haiñ
wo jo zaKHmon ki numaish karte hain
in pe chaaragar bhi koshish karte hain
bas tumhein pane ki KHwahish karte hain
hum junun ki aazmaish karte hain
zindagi mein kul mila kar dekhen to
KHwab aur taqdir gardish karte hai
aankh do ek gham mein roti hi nahin
abr yakja ho ke barish karte hain
maula teri KHalq ke sab log hi
ishq kab karte hain sazish karte hain
asl mein aksar hi mar jate hain hum
KHwab mein ji bhar ke jumbish karte hain
main hansa deta hun tum ko aaKHirash
aur tumhaare log koshish karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.