wo josh aur na wo baqi hai walwala dil ka
wo josh aur na wo baqi hai walwala dil ka
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
vo josh aur na vo baaqī hai valvala dil kā
ḳhudā hī jaane ki kyā hai mo.āmla dil kā
tujhe qasam hai junūñ is tarah se le chalnā
na phūTe ḳhār-e-muġhīlāñ se aabla dil kā
bachāo Thes se is ko bahut ye nāzuk hai
na phūTe ḳhār-e-muġhīlāñ se aabla dil kā
ga.e the dasht-navardī ko ham jo vahshat meñ
junūñ ne luuT liyā haa.e qāfila dil kā
ḳhudā hī ḳhair kare jān-e-zār jā.egī
butoñ ke haath paḌā hai mo.āmla dil kā
shab-e-visāl hai takrār kī na baat karo
nikāl lene do ai jaan hausla dil kā
ajiib haal tumhārā hai in dinoñ 'shaidā'
har ek shaḳhs se karte ho kyoñ gila dil kā
wo josh aur na wo baqi hai walwala dil ka
KHuda hi jaane ki kya hai moamla dil ka
tujhe qasam hai junun is tarah se le chalna
na phuTe KHar-e-mughilan se aabla dil ka
bachao Thes se is ko bahut ye nazuk hai
na phuTe KHar-e-mughilan se aabla dil ka
gae the dasht-nawardi ko hum jo wahshat mein
junun ne luT liya hae qafila dil ka
KHuda hi KHair kare jaan-e-zar jaegi
buton ke hath paDa hai moamla dil ka
shab-e-visal hai takrar ki na baat karo
nikal lene do ai jaan hausla dil ka
ajib haal tumhaara hai in dinon 'shaida'
har ek shaKHs se karte ho kyon gila dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.