wo juda mujhse ho gae mil ke
vo judā mujh se ho ga.e mil ke
rah ga.e dil meñ hausle dil ke
chal ke naqsh-e-qadam pe kāmil ke
ham qarīb aa ga.e haiñ manzil ke
parda-poshī hayā lab-e-ḳhāmosh
haiñ ye ādāb un kī mahfil ke
un ke ġham meñ guzar hī jā.eñge
chand lamhe haiñ aur mushkil ke
bebasī be-kasī vafā-koshī
haiñ ye sāmān-e-musībat dil ke
bad-nasībī kī kashtī-e-ummīd
aa ke Duubī hai paas sāhil ke
ḳhuub kārīgarī junūñ ne kī
chaak dāman hue haiñ sil sil ke
jām-e-jam se bhī kuchh nahīñ bantā
jab bigaḌte haiñ taur mahfil ke
tauq-e-vahshat paḌā jo gardan meñ
silsile mil ga.e salāsil ke
jin ko tūfān bhī Dubo na sakā
kaam aa.e vo mauj-e-sāhil ke
ashk-e-ġham se bhī shām-e-ġham maiñ ne
daaġh dho.e haiñ dāman-e-dil ke
jin pe ehsāñ haiñ apne ai 'ḳhushtar'
vo daġhā kar rahe haiñ mil mil ke
wo juda mujh se ho gae mil ke
rah gae dil mein hausle dil ke
chal ke naqsh-e-qadam pe kaamil ke
hum qarib aa gae hain manzil ke
parda-poshi haya lab-e-KHamosh
hain ye aadab un ki mahfil ke
un ke gham mein guzar hi jaenge
chand lamhe hain aur mushkil ke
bebasi be-kasi wafa-koshi
hain ye saman-e-musibat dil ke
bad-nasibi ki kashti-e-ummid
aa ke Dubi hai pas sahil ke
KHub karigari junun ne ki
chaak daman hue hain sil sil ke
jam-e-jam se bhi kuchh nahin banta
jab bigaDte hain taur mahfil ke
tauq-e-wahshat paDa jo gardan mein
silsile mil gae salasil ke
jin ko tufan bhi Dubo na saka
kaam aae wo mauj-e-sahil ke
ashk-e-gham se bhi sham-e-gham main ne
dagh dhoe hain daman-e-dil ke
jin pe ehsan hain apne ai 'KHushtar'
wo dagha kar rahe hain mil mil ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.