wo junun ke ahd ki chandni ye gahan gahan ki udasiyan
vo junūñ ke ahd kī chāñdnī ye gahan gahan kī udāsiyāñ
vo qafas qafas kī chahal-pahal ye chaman chaman kī udāsiyāñ
jo mahal ke jhaaḌ utaar lo to mile zamīñ ko bhī raushnī
inhīñ ḳhalvatoñ ne baḌhā.ī haiñ mirī anjuman kī udāsiyāñ
mirā dil hai dasht-e-ġham jahāñ kabhī aa ke sair to kījiye
ye junūñ junūñ kī musāfirat ye vatan vatan kī udāsiyāñ
mujhe kaise dasht meñ laa.e tum ki sadī sadī ke safar pe bhī
vahī rañg-o-nasl kī vahshateñ vahī mā-o-man kī udāsiyāñ
koī ai 'shamīm' kahe zarā ye udaas shā.ir-e-vaqt se
ki hayāt-e-dil ko bujhā na deñ kahīñ fikr-o-fan kī udāsiyāñ
wo junun ke ahd ki chandni ye gahan gahan ki udasiyan
wo qafas qafas ki chahal-pahal ye chaman chaman ki udasiyan
jo mahal ke jhaD utar lo to mile zamin ko bhi raushni
inhin KHalwaton ne baDhai hain meri anjuman ki udasiyan
mera dil hai dasht-e-gham jahan kabhi aa ke sair to kijiye
ye junun junun ki musafirat ye watan watan ki udasiyan
mujhe kaise dasht mein lae tum ki sadi sadi ke safar pe bhi
wahi rang-o-nasl ki wahshaten wahi ma-o-man ki udasiyan
koi ai 'shamim' kahe zara ye udas shair-e-waqt se
ki hayat-e-dil ko bujha na den kahin fikr-o-fan ki udasiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.