wo justuju ka juda hi hunar nikalte hain
vo justujū kā judā hī hunar nikālte haiñ
thakān se nayā zauq-e-safar nikālte haiñ
ham apnī chhāñv badan meñ hī dafn rakhte nahīñ
ki shāmlāt zamīñ se shajar nikālte haiñ
kahīñ ye nasl zamīñ-bos hī na ho jaa.e
numū ke ḳhvāb ko bār-e-digar nikālte haiñ
kahāñ talak koī ḳhud meñ simaT ke baiThā rahe
galī meñ aate haiñ ḳhauf-e-nazar nikālte haiñ
na kholnī paḌeñ dāñtoñ se rishtoñ kī girheñ
chalo ki apne lahū se bhañvar nikālte haiñ
mohabbateñ kahāñ panpeñgī sang-o-āhan meñ
kisī gulāb kī Tahnī pe ghar nikālte haiñ
rutoñ ke jabr ne jhulsā ke rakh diyā thā jahāñ
shagūfe phir usī Tahnī se sar nikālte haiñ
bhare bhare na bhare sā.atoñ ke dāman ko
nihāl-e-umr se saarā samar nikālte haiñ
ajiib zahr sā ghul jaatā hai fazāoñ meñ
hamāre ḳhvāb jahāñ bāl-o-par nikālte haiñ
wo justuju ka juda hi hunar nikalte hain
thakan se naya zauq-e-safar nikalte hain
hum apni chhanw badan mein hi dafn rakhte nahin
ki shamlat zamin se shajar nikalte hain
kahin ye nasl zamin-bos hi na ho jae
numu ke KHwab ko bar-e-digar nikalte hain
kahan talak koi KHud mein simaT ke baiTha rahe
gali mein aate hain KHauf-e-nazar nikalte hain
na kholni paDen danton se rishton ki girhen
chalo ki apne lahu se bhanwar nikalte hain
mohabbaten kahan panpengi sang-o-ahan mein
kisi gulab ki Tahni pe ghar nikalte hain
ruton ke jabr ne jhulsa ke rakh diya tha jahan
shagufe phir usi Tahni se sar nikalte hain
bhare bhare na bhare saaton ke daman ko
nihaal-e-umr se sara samar nikalte hain
ajib zahr sa ghul jata hai fazaon mein
hamare KHwab jahan baal-o-par nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.