wo juz kahani ka hum tak pahunch na paya hi ho
vo juz kahānī kā ham tak pahuñch na paayā hī ho
ḳhudā ne pahle bhī aadam se kuchh banāyā hī ho
utar na paayā ho vo jism-o-rūh meñ ik saath
talāsh karne vo hālāñki mujh ko aayā hī ho
lihāz-e-jism rakhe ruuh kis liye āḳhir
ki jism jis ne faqat ruuh ko satāyā hī ho
badal ga.e hoñ mafāhīm āñsuoñ ki mire
kisī se us ne mirā tarjuma karāyā hī ho
piTārā khol gunāhoñ kā apne dekh zarā
ki dil kisī kā kabhī kyā patā dukhāyā hī ho
ye koī aur ho tujh sā tire badan jaisā
ye tū na ho ke tirā jism-dār saaya hī ho
maiñ so rahā huuñ ki apnā koī surāġh mile
vo ḳhvāb meñ mujhe shāyad jagāne aayā hī ho
'amān' shor thā tum ne sunā nahīñ hogā
jab aa rahe ho kisī ne tumheñ bulāyā hī ho
wo juz kahani ka hum tak pahunch na paya hi ho
KHuda ne pahle bhi aadam se kuchh banaya hi ho
utar na paya ho wo jism-o-ruh mein ek sath
talash karne wo haalanki mujh ko aaya hi ho
lihaz-e-jism rakhe ruh kis liye aaKHir
ki jism jis ne faqat ruh ko sataya hi ho
badal gae hon mafahim aansuon ki mere
kisi se us ne mera tarjuma karaya hi ho
piTara khol gunahon ka apne dekh zara
ki dil kisi ka kabhi kya pata dukhaya hi ho
ye koi aur ho tujh sa tere badan jaisa
ye tu na ho ke tera jism-dar saya hi ho
main so raha hun ki apna koi suragh mile
wo KHwab mein mujhe shayad jagane aaya hi ho
'aman' shor tha tum ne suna nahin hoga
jab aa rahe ho kisi ne tumhein bulaya hi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.