wo kafir aaj mehman mere ghar hai
vo kāfir aaj mehmāñ mere ghar hai
kidhar sajda karūñ ka.aba kidhar hai
naqāb ulTe ho aalam be-ḳhabar hai
chale aao tumheñ ab kis kā Dar hai
adū ke saath is ko bhī uThā do
ye chilman raḳhna-andāz-e-nazar hai
zarā hoshiyār ho o marne vaale
tirī bālīñ pe koī nauhagar hai
jhukī jaatī hai sajde meñ jabīñ ḳhud
ḳhudā jaane ye kis kā sang-e-dar hai
wo kafir aaj mehman mere ghar hai
kidhar sajda karun kaba kidhar hai
naqab ulTe ho aalam be-KHabar hai
chale aao tumhein ab kis ka Dar hai
adu ke sath is ko bhi uTha do
ye chilman raKHna-andaz-e-nazar hai
zara hoshiyar ho o marne wale
teri baalin pe koi nauhagar hai
jhuki jati hai sajde mein jabin KHud
KHuda jaane ye kis ka sang-e-dar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.