wo kabhi bistar kabhi chadar bichhate rah gae
vo kabhī bistar kabhī chādar bichhāte rah ga.e
niiñd kī āġhosh meñ ham jaate jaate rah ga.e
ham ne kaalī raat meñ saarā safar tai kar liyā
jin ke zimme raushnī thī chāñd laate rah ga.e
raat aa.ī chāñd niklā saare panchhī so ga.e
chāñdnī meñ ham magar dil ko jalāte rah ga.e
chāñd ne qīmat vasūlī chāñdnī kī bār-hā
ham sitāre āsmāñ par jhilmilāte rahe ga.e
aur ham karte bhī kyā us dil-shikan ke sāmne
sabr kī mūrat bane bas muskurāte rah ga.e
koī to ahl-e-vafā hogā isī ummīd par
umr bhar har ek se dhokā hī khāte rah ga.e
ai amīr-e-shahr terī aabrū kī fikr meñ
chand qisse mere lab par aate aate rah ga.e
ab ḳhayāl aayā hameñ 'tashna' ki ik muddat se ham
dāstān-e-ġham unheñ nā-haq sunāte rah ga.e
wo kabhi bistar kabhi chadar bichhate rah gae
nind ki aaghosh mein hum jate jate rah gae
hum ne kali raat mein sara safar tai kar liya
jin ke zimme raushni thi chand late rah gae
raat aai chand nikla sare panchhi so gae
chandni mein hum magar dil ko jalate rah gae
chand ne qimat wasuli chandni ki bar-ha
hum sitare aasman par jhilmilate rahe gae
aur hum karte bhi kya us dil-shikan ke samne
sabr ki murat bane bas muskuraate rah gae
koi to ahl-e-wafa hoga isi ummid par
umr bhar har ek se dhoka hi khate rah gae
ai amir-e-shahr teri aabru ki fikr mein
chand qisse mere lab par aate aate rah gae
ab KHayal aaya hamein 'tashna' ki ek muddat se hum
dastan-e-gham unhen na-haq sunate rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.