wo kahan hai kitab ke andar
vo kahāñ hai kitāb ke andar
jo likhā thā nisāb ke andar
maiñ ne DhūñDā sharāb ke andar
aur nasha thā naqāb ke andar
aaj bhaa.ī kā phone aa hī gayā
kuchh kamī thī hisāb ke andar
saarā afsāna rang-o-bū kā thā
kuchh na niklā gulāb ke andar
apne apne savāl hote haiñ
apne apne javāb ke andar
merī dīvāngī pe ik buḌhiyā
hañs paḌī māhtāb ke andar
ghūmnā chhoḌ de zamīn agar
gir paḌe āftāb ke andar
wo kahan hai kitab ke andar
jo likha tha nisab ke andar
main ne DhunDa sharab ke andar
aur nasha tha naqab ke andar
aaj bhai ka phone aa hi gaya
kuchh kami thi hisab ke andar
sara afsana rang-o-bu ka tha
kuchh na nikla gulab ke andar
apne apne sawal hote hain
apne apne jawab ke andar
meri diwangi pe ek buDhiya
hans paDi mahtab ke andar
ghumna chhoD de zamin agar
gir paDe aaftab ke andar
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 51)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.