wo kahin tha kahin dikhai diya
vo kahīñ thā kahīñ dikhā.ī diyā
maiñ jahāñ thā vahīñ dikhā.ī diyā
ḳhvāb meñ ik hasīñ dikhā.ī diyā
vo bhī parda-nashīñ dikhā.ī diyā
jab talak tū nahīñ dikhā.ī diyā
ghar kahīñ kā kahīñ dikhā.ī diyā
roz chehre ne aa.ine badle
jo nahīñ thā nahīñ dikhā.ī diyā
bad-maza kyuuñ haiñ āsmāñ vaale
maiñ zamīñ thā zamīñ dikhā.ī diyā
us ko le kar chalī ga.ī gaaḌī
phir hameñ kuchh nahīñ dikhā.ī diyā
wo kahin tha kahin dikhai diya
main jahan tha wahin dikhai diya
KHwab mein ek hasin dikhai diya
wo bhi parda-nashin dikhai diya
jab talak tu nahin dikhai diya
ghar kahin ka kahin dikhai diya
roz chehre ne aaine badle
jo nahin tha nahin dikhai diya
bad-maza kyun hain aasman wale
main zamin tha zamin dikhai diya
us ko le kar chali gai gaDi
phir hamein kuchh nahin dikhai diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.