wo kahta hai ki uske waste KHanjar zaruri hai
vo kahtā hai ki us ke vāste ḳhanjar zarūrī hai
nazar ke sāmne ik ḳhūñ-chakāñ manzar zarūrī hai
bahut sī uljhaneñ haiñ āj-kal ūñche makānoñ meñ
sukūñ ke vāste chhoTā sā mujh ko ghar zarūrī hai
bharosa quvvat-e-bāzū pe apnī jo nahīñ kartā
mahāz-e-jang meñ us ke liye lashkar zarūrī hai
yahī hai farq us ke aur mere darmiyāñ haa.il
mujhe hai phuul kī chāhat use patthar zarūrī hai
abhī to par nahīñ nikle miyāñ phir bhī uchhalte ho
bulandī par uḌānoñ ke liye shahpar zarūrī hai
'sa.īd' us āstīñ ke saañp se ġhāfil nahīñ rahnā
use qaabū meñ karne ke liye mantar zarūrī hai
wo kahta hai ki us ke waste KHanjar zaruri hai
nazar ke samne ek KHun-chakan manzar zaruri hai
bahut si uljhanen hain aaj-kal unche makanon mein
sukun ke waste chhoTa sa mujh ko ghar zaruri hai
bharosa quwwat-e-bazu pe apni jo nahin karta
mahaz-e-jang mein us ke liye lashkar zaruri hai
yahi hai farq us ke aur mere darmiyan hail
mujhe hai phul ki chahat use patthar zaruri hai
abhi to par nahin nikle miyan phir bhi uchhalte ho
bulandi par uDanon ke liye shahpar zaruri hai
'said' us aastin ke sanp se ghafil nahin rahna
use qabu mein karne ke liye mantar zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.