wo kahta tha ki tum mera sahaara ban hi jaogi
vo kahtā thā ki tum merā sahārā ban hī jāogī
talab ke āsmāñ kā ik sitāra ban hī jāogī
vo kahtā thā ki tum ham Dūbne vāloñ pe ro ro kar
kisī pur-shor dariyā kā kināra ban hī jāogī
vo kahtā thā ki ḳhud ko ḳhaak kahnā chhoḌ do ab tum
kisī din dekh lenā tum sharāra ban hī jāogī
vo kahtā thā ki maiñ TuuTā to phir juḌne na pā.ūñgā
agar tum TuuT bikhrīñ to dobāra ban hī jāogī
mujhe ma.alūm hai zaḳhmī diloñ se pyaar hai tum ko
ḳhafā ho kar bhī tum merā sahārā ban hī jāogī
wo kahta tha ki tum mera sahaara ban hi jaogi
talab ke aasman ka ek sitara ban hi jaogi
wo kahta tha ki tum hum Dubne walon pe ro ro kar
kisi pur-shor dariya ka kinara ban hi jaogi
wo kahta tha ki KHud ko KHak kahna chhoD do ab tum
kisi din dekh lena tum sharara ban hi jaogi
wo kahta tha ki main TuTa to phir juDne na paunga
agar tum TuT bikhrin to dobara ban hi jaogi
mujhe malum hai zaKHmi dilon se pyar hai tum ko
KHafa ho kar bhi tum mera sahaara ban hi jaogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.