wo kam-amez mujhse ham-suKHan hone laga hai
vo kam-āmez mujh se ham-suḳhan hone lagā hai
ba-yak lahza ye dasht-e-dil chaman hone lagā hai
suhūlat se vo paḌhtā jā rahā hai zehn merā
badan sochoñ kā phir be-pairahan hone lagā hai
mirī tanhā.ī aur vahshat meñ phir se Than ga.ī hai
yuuñ lagtā hai koī ghamsān ran hone lagā hai
atā kiije mire murshid mujhe koī vazīfa
mirā dil phir se duniyā meñ magan hone lagā hai
ye rūhoñ ke milan kī kar na de masdūd rāheñ
ki haa.il is milan meñ ab badan hone lagā hai
pakaḌ hī lī jaḌeñ ulfat ne āḳhir is zamīñ meñ
dayār-e-ġhair ab merā vatan hone lagā hai
biThā rakkhe haiñ us ne mujh pe yuuñ nādīda pahre
khulā māhaul bhī man kī ghuTan hone lagā hai
mire tarz-e-takallum meñ thā jo be-sāḳhta-pan
vahī mere suḳhan kā bāñkpan hone lagā hai
jahāñ tyāgā 'tabassum' jis ko apnāne kī ḳhātir
usī se ab bichhaḌne kā jatan hone lagā hai
wo kam-amez mujh se ham-suKHan hone laga hai
ba-yak lahza ye dasht-e-dil chaman hone laga hai
suhulat se wo paDhta ja raha hai zehn mera
badan sochon ka phir be-pairahan hone laga hai
meri tanhai aur wahshat mein phir se Than gai hai
yun lagta hai koi ghamsan ran hone laga hai
ata kije mere murshid mujhe koi wazifa
mera dil phir se duniya mein magan hone laga hai
ye ruhon ke milan ki kar na de masdud rahen
ki hail is milan mein ab badan hone laga hai
pakaD hi li jaDen ulfat ne aaKHir is zamin mein
dayar-e-ghair ab mera watan hone laga hai
biTha rakkhe hain us ne mujh pe yun nadida pahre
khula mahaul bhi man ki ghuTan hone laga hai
mere tarz-e-takallum mein tha jo be-saKHta-pan
wahi mere suKHan ka bankpan hone laga hai
jahan tyaga 'tabassum' jis ko apnane ki KHatir
usi se ab bichhaDne ka jatan hone laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.