wo kam-shuur hai phir bhi kamal karta hai
wo kam-shuur hai phir bhi kamal karta hai
Khwaja Saeeduddin Nawab
MORE BYKhwaja Saeeduddin Nawab
vo kam-shu.ūr hai phir bhī kamāl kartā hai
hamāre lafzoñ meñ ham se savāl kartā hai
karam kisī kā sañbhāle hue hai rāhoñ meñ
ye ḳhārzār vagarna niDhāl kartā hai
usī ke sar rahā ilzām fitna-sāzī kā
jo amn-rut meñ ḳhalal ko bahāl kartā hai
vo pattharoñ meñ bhī detā hai rizq kīḌoñ ko
kamāl vaalā hai vo har kamāl kartā hai
muazzinoñ ke laboñ se azaan sunte hī
parinda hamd-o-sanā Daal Daal kartā hai
'navāb' ke koī tarz-e-suḳhan pe ġhaur kare
har ek sher meñ ḳhud se maqāl kartā hai
wo kam-shuur hai phir bhi kamal karta hai
hamare lafzon mein hum se sawal karta hai
karam kisi ka sanbhaale hue hai rahon mein
ye KHarzar wagarna niDhaal karta hai
usi ke sar raha ilzam fitna-sazi ka
jo amn-rut mein KHalal ko bahaal karta hai
wo pattharon mein bhi deta hai rizq kiDon ko
kamal wala hai wo har kamal karta hai
muazzinon ke labon se azan sunte hi
parinda hamd-o-sana Dal Dal karta hai
'nawab' ke koi tarz-e-suKHan pe ghaur kare
har ek sher mein KHud se maqal karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.