wo kam-yaqin jo sawad-e-guman bhi rahta hai
vo kam-yaqīñ jo savād-e-gumāñ bhī rahtā hai
tamām-umr kisī imtihāñ meñ rahtā hai
ye rūh-o-jism kā rishta bhī ḳhuub rishta hai
ki jaise koī parā.e makāñ meñ rahtā hai
jo tū nahīñ mire hamrāh terī yaad sahī
koī to saath mire dasht-e-jāñ meñ rahtā hai
khulā ye chāñdnī shab meñ ki ek saaya sā
nadī ke paar shikasta-makāñ meñ rahtā hai
na us meñ rañg-e-vafā kā na ishq kī ḳhushbū
ḳhabar nahīñ vo abhī kis jahāñ meñ rahtā hai
rahe zabāñ pe koī dastān-e-hijr-o-visāl
vo ek shaḳhs hī lafz-o-bayāñ meñ rahtā hai
mire dukhoñ kī jise kuchh ḳhabar nahīñ 'ḳhāvar'
mire makāñ ke barābar makāñ meñ rahtā hai
wo kam-yaqin jo sawad-e-guman bhi rahta hai
tamam-umr kisi imtihan mein rahta hai
ye ruh-o-jism ka rishta bhi KHub rishta hai
ki jaise koi parae makan mein rahta hai
jo tu nahin mere hamrah teri yaad sahi
koi to sath mere dasht-e-jaan mein rahta hai
khula ye chandni shab mein ki ek saya sa
nadi ke par shikasta-makan mein rahta hai
na us mein rang-e-wafa ka na ishq ki KHushbu
KHabar nahin wo abhi kis jahan mein rahta hai
rahe zaban pe koi dastan-e-hijr-o-visal
wo ek shaKHs hi lafz-o-bayan mein rahta hai
mere dukhon ki jise kuchh KHabar nahin 'KHawar'
mere makan ke barabar makan mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.