wo karb jo azal se nihan rahguzar mein tha
vo karb jo azal se nihāñ rahguzar meñ thā
manzil kī pyaas ban ke hamāre jigar meñ thā
Takrā ke sang-e-vaqt se vo ḳhud-baḳhud girā
ik raḳhsh vahm kā jo azal se safar meñ thā
tum vus.at-e-falak meñ mujhe DhūñDte rahe
jab maiñ ḳhud is zamīn ke har ḳhushk-o-tar meñ thā
zulmat kī tez dhuup se us ne bachā liyā
ik peḌ raushnī kā jo is rah guzar meñ thā
yuuñ ġhairiyat kā zard labāda thā jism par
har zarra kā.enāt kā apnī nazar meñ thā
gard-o-ġhubār vaqt se ye Dhak ke rah gayā
'jāmī' lahū kā rang jo dīvār-o-dar meñ thā
wo karb jo azal se nihan rahguzar mein tha
manzil ki pyas ban ke hamare jigar mein tha
Takra ke sang-e-waqt se wo KHud-baKHud gira
ek raKHsh wahm ka jo azal se safar mein tha
tum wusat-e-falak mein mujhe DhunDte rahe
jab main KHud is zamin ke har KHushk-o-tar mein tha
zulmat ki tez dhup se us ne bacha liya
ek peD raushni ka jo is rah guzar mein tha
yun ghairiyat ka zard labaada tha jism par
har zarra kaenat ka apni nazar mein tha
gard-o-ghubar waqt se ye Dhak ke rah gaya
'jami' lahu ka rang jo diwar-o-dar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.